भजन

सरकार तुम्हारे चरणों में एक दीन भिखारी आया है

सरकार तुम्हारे चरणों में,

एक दीन भिखारी आया है,

एक दीन भिखारी आया है,

वो झोली खाली लाया है,

भगवान तुम्हारे चरणों में,

एक दीन भिखारी आया है।।

मन तो लगाया तेरी भक्ति में,

सेवा में समर्पित काया है,

दरबार तुम्हारा सांचा है,

बाकी सब झूठी माया है,

सरकार तुम्हारे चरणो में,

एक दीन भिखारी आया है।।

सुना है तू सुनता है उसकी,

जो दर दर ठोकर खाया है,

अब शरण मिले चरणों में तेरे,

बस आशा इतनी लाया है,

सरकार तुम्हारे चरणो में,

एक दीन भिखारी आया है।।

परवाह नहीं मुझको जग की,

जब सर पर तेरी छाया है,

भजनों से रिझाएँ ये पागल,

तुझे दिल से आज मनाया है,

सरकार तुम्हारे चरणो में,

एक दीन भिखारी आया है।।

सरकार तुम्हारे चरणों में,

एक दीन भिखारी आया है,

एक दीन भिखारी आया है,

वो झोली खाली लाया है,

भगवान तुम्हारे चरणों में,

एक दीन भिखारी आया है।।

Verse 1

Sarkar tumhare charnon mein, Ek deen bhikhari aaya hai, Ek deen bhikhari aaya hai, Wo jholi khali laya hai, Bhagwan tumhare charnon mein, Ek deen bhikhari aaya hai.

Verse 2

Man to lagaya teri bhakti mein, Seva mein samarpit kaaya hai, Darbar tumhara saancha hai, Baki sab jhoothi maya hai, Sarkar tumhare charno mein, Ek deen bhikhari aaya hai.

Verse 3

Suna hai tu sunta hai uski, Jo dar dar thokar khaya hai, Ab sharan mile charnon mein tere, Bas aasha itni laya hai, Sarkar tumhare charno mein, Ek deen bhikhari aaya hai.

Verse 4

Parwah nahi mujhko jag ki, Jab sar par teri chhaya hai, Bhajno se rijhaye ye pagal, Tujhe dil se aaj manaya hai, Sarkar tumhare charno mein, Ek deen bhikhari aaya hai.

Verse 5

Sarkar tumhare charnon mein, Ek deen bhikhari aaya hai, Ek deen bhikhari aaya hai, Wo jholi khali laya hai, Bhagwan tumhare charnon mein, Ek deen bhikhari aaya hai.

अन्य भजन संग्रह भी देखें: गणेश भजन → · हनुमान भजन →